Loading...

Tuesday, 29 September 2015

Top 10 Best Freelance Websites in 2015 | Top 10 Popular Freelance Sites for make money Online in 2015

Work smarter not harder” yeh ek english ki famous kahawat hai aur is kahawat ko proof krta hai hmara internet. Ji haan, jahan log asani se apni hobbies ko aur improve kar rahe hain, apne business ko aur successful bana rahe aur  na hi sirf apne thoughts ko baat rahe balki iss safar mein hamaara saamna nayi nayi techniques se ho raha jisse hum apni zindagi ko aur aasaan bnane me kamyab ho rahe. 

Gaur kiya jaye toh pichle kuch saalo se kewal young generation hi nahi internet se judi hai, balki woh log bhi internet se jude hai jo ghar baithe achi kamai karna chahte hai. Unfortunately mere bahut se dost aise hai jo ke professional web designer aur web developer hai par wo kisi company ke under me work karne ke liye majboor hai halaki wo freelancing word se toh ache se introduce hai par unko freelancing ke liye correct site aur process ka andaza nahi. 



To friends agar ap log bhi janna chahte ho ki freelancing kya hai aur isse kaise paise kamaye jaye to mere iss article ko gaur se padhie.

Freelancing Kya hai aur freelancer kise kahte hai?

Freelancer wo insaan hai jo ki multiple clients ke liye work krta hai, ise is tarah samjhie  jaise kisi company mein ek boss hota hai aur uske hi order par saare employees work karte hai saath hi un employees ka work timing aur salary dono hi fixed hoti hai jabki iska opposite freelancing mein hai. Apko har tarah ki freedom rahti hai, aap chahe to ek se jyada clients ke liye work kar sakte hai aur as a full time freelancer ya fir part time freelancer ki tarah work kar ke apni services provide karwa sakte hai

Freelancer agar koi task perform karte hai to use ham freelancing kahte hai aur yeh work minimum cost aur Freelancing mainly do tarah ki hoti hai :

  1. On-site freelancing jobs: On-site jobs wo hoti hai jisme aapko kisi particular place par jakar work karna hoga. Jaise kisi song ki recording ya fir koi event management ka work.
  2. Remote freelancing jobs: Is tarah ki freelancing me ap ghar baithe kaam karte hai aur aapko client per hour  ya fixed price ke hisaab se hire karta hai.

Best freelancing sites kon si hai?

Waise to internet par lakhon sites hai jaha ap apni services ke badle achcha paisa kama sakte hai par mai un bharosemand sites ko list kar rahi jin sites ke saath mera experience acha raha. Toh chaliye jaante hai in sites ke baare mein

Upwork:


Yeh ab tak ka sabse jyada famous online portal hai.Is site ko isi saal yani 2015 me launch kiya gya ab ap soch rahe honge ye itne jaldi famous itni jaldi kaise hua, Actually ye itna famous tab hua jab do badi freelancing sites (elance aur oDesk) ne mil kar ek online portal bnaya jiska naam Upwork rakha gaya. Is site par 1 lakh se zyada jobs har mahine post ki jati hai. Ye portal short-term aur long-term dono work dono provide karwata hai.

Peopleperhour:

Peopleperhour ek great platform hai unke liye jo ke web developer, designer ya online marketing specialist hai ya writer hai. Ye ek simple bidding system pe work karta hai.

Freelancer:

Ye ek successful aur sabse purane online portal mein se ek hai aur aap ko jaan ke khushi hogi ke yeh ek Indian freelancing site hai. Ye site 2003 mein launch ki gayi thi. Freelancer.com par skilled web developers, writers, freelance programmers active rehte hai aur har month acha paisa bhi kamate hai.
Fiverr:
Fiver duniya ka largest marketplace hai jaha par freelancers choti services ko provide karwate hai jaise ki photo editing, logo, banners ya toh article writing. Yaha par ye shart hai ke apko apni service $5 ya usse kam me deni hogi.

Guru:

Ye ek dusra kaamyaab Indian online spot hai, Ye bhi wakai ek jabardast online portal jis par aap apni services logo tak provide kara sakte hai. Iske work room se aap aasani se apna work manage kar sakte hai saath hi iska overall design bhi kaafi simple hai jisse isko samjhane mein bhi koi pareshani nahi hoti hai.

0 comments:

Post a Comment